Thursday 2 March 2017

Best and all time most loveable dialogues of Shahrukh Khan



1. Jab Tak Hai Jaan Shayari
Teri aankhon ki namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan


2. Kabhi Khushi Kabhie Gham
Zindagi mein kuch banna ho, Kuch hasil karna ho, Kuch jeetna ho, To hamesha apne dil ki suno, Aur ager dil se bhi koi jawaab na aaye … To apni aankhein band karke apni Maa aur Baba ka naam lo … Phir dekhna tum her manzil paa sakoge, Her mushkil aasan ho jayegi, Jeet tumhari hogi ….. Sirf tumhari…

3. Kal Ho Naa Ho
Aaj….. Aaj ek Haseen aur baant loon…. Aaj ek Dua aur mang loon….Aaj ek aansoo aur pee loon… Aaj ek Zindagi aur ji loon…Aaj ek Sapna aur dekh loon…..Aaj….. Kya pata Kal Ho Naa Ho!!!”


4. Om Shanti Om
Itni shidaat se main tumhe paane ki koshish ki hai,

hi har zaare ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai.

Kehte hain ki …… Agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.

Aaj aap sabh ne mujhe meri chaahat se milaeya, thank you, thank you very much. Main aap sab ka shukar guzaar hoon.

Ki aapne mere kwabon ko yakeen mein badaldiya, itna ki I feel like the King of thee World.

Aur aaj, is baat ka bhi yakeen ho gaya, ki humari filmon ki tarah humari zindagi mein bhi end mein sab theek ho jaata hai.

Happys Endings. Aur agar, aur agar theek na ho to woh the end nahin hai dosto, picture abhi baaki hai.

5. Devdas
Kaun kambakhat bardaasht karne ke liye peeta hai …


6. Mohabbatein
Pyaar zindagi ki tarah hota hai, Jiska her morr aasan nahi hota, Her raste per khushi nahi milti, Per jab hum zindagi ka saath nahin chorte, To hum pyaar karna kyon chorein.

7. Baadshah
Kabhi Kabhi dil jorne ke liye dil torna parta hai, aur dil tor ke jorne wale ko…. pata nahin kya kehte hain

8. Kuch Kuch Hota Hai
Hum ek baar jite hain, ek baar marte hain, shaadi bhi ek baar hoti hai, aur pyar….ek hi baar hota hai

9. Deewana
Jaante hain aap, par samajhte nahin…ke yeh sirph ek itefaaq hai…ke aap mere pita hain, aur main aap ka beta

10. Baazigar
Kabhi Kabhi Kuch Jeetne Ke Liya Kuch Haar Na Parta Hai, Aur Haar Ke Jeetne Wale Ko Baazigar Kehte Hain

11. Dilwale Dulhaniya Le Jayenge
“It’s alright Senorita, Bade Bade Deshon Mein, Aisi Choti Choti Baatein Hoti Rahti Hain.”

“Mujhe to koi ek ladki pasand aa hi nahi sakti hai… ab kisi ki aankhen achi hai, to kisi naak achi hai, kisi ke honth ache hain, kisi ke kaan ache hain.”

“aap bhi kamaal karti hain maa, abhi abhi to apne mujhe beta bola, aur ek hi pal mein paraya kar diya…

12. Dil To Pagal Hai
“Mar Gaya Rahul”

“Main Pyar wyar mein yakheen hi nahin kart

“Rahul…naam to suna hoga?”

13. Darr
“Ki.. Ki.. Ki…Kiran”


14. Don and Don 2
Don ke dushman ko hamesha yeh baat yaad rakhni chahiye…ke Don kabhi kuch nahi bhulta.

Don ke samne aadmi ke pass sirf do raaste hote hain..mann jaye ya mar jaye…jaisi uski marzi.

Takat ek nasha hai, aur main uss nasha banane wali factory ka ek lauta malik hoon.

Mujhe logon ka khoon karne ka koi shauq nahi…wohi mujhe majbur kar dete hai.

Kisne kaha ke chamatkar nahi hote…zaara mujhe kareeb se dekho.

Don aadmi ka naam bhool sakta hai…lekin yeh nahin bhulega ki usse dafnaya kaha tha.

Mujhe andhera pasand hai…tumhare aane wale kal ki yaad dilata hain.

Don ke dushman, Don ke haaton mar ne ke liye hi paida hote hai.

Don apne doston ko haal puche ya na puche…apne dushmano ki khabar hamesha rakhta hain.

Don ko pakad na mushkil hi nahi…you know it.

15. Raees
Joh dhande ke liye sahi woh sahi ... joh dhande ke liye galat woh galat ... isse zyada kabhi socha nahi


All rights reserved @Mad4SRK.in
Follow us @Mad4srk_news

No comments:

Post a Comment